Mujh se bichar ke wo bhi pareshan tha buhat
jis ki nazar me, kam ye asan tha buhat
Socha to be khulus theen sab us ki qurbaten
Jis ke baghair ghar mera , weeran tha buhat
Bekhuab, surkh aankhon ne sab kuch bata diya
Kal rat dil me , dard ka, toofan tha buhat
Ye kiya kiya ? ke piyar ka, izhar kar diya
mein apni, is shikast pe, heran tha buhat
A great Ghazal Song by: Hamid Ali Khan
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment