Naya saal jab bhi aata haihum hisab kitab me lag jatey hein . .
guzre huay sal me kiya kuch paya hai
kiya kho bethe hein
jor tor lagatey hein . .
sochtey hein
buhat kuch jo adhoora hai
use takmeel deni hai . . .
Buhat kuch jo naya karne ka socha hai
usko tashkeel deni hai . . .
guzre huay saal ke zakhmo par
phir se marham rakhne hein . . .
Abhi nayi khushian milni hein
naye kuch zaiqe gham ke bhi chakhne hein
Phir kahayal aata hai
duniya to faani hai
magar maut to sabhi ko aani hai
is saal ye naya kam na kar jayen hum
is saal
kaheen mar hi na jayen hum . . . !
Poetry By:
Yaru Ali
Artistic Edge
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment