Tanha Rastey


URDU VERSION OF (DASHT E TANHAI ME)
..
dasht-e-tanhaai mein, ai jaan-e-jahaan, larzaan hain
teri awaaz ke saaye,
tere honton ke saraab

dasht-e-tanhaai mein,
duri ke khas-o-khaak tale
khil rahe hain tere pehlu ke saman aur gulaab

uth rahi hai kahin qurbat se
teri saans ki aanch
apani khushbuu mein sulagti hui
maddham .. maddham ..

dur ufaq par chamakati hui
qatra .. qatra ..
gir rahi hai teri dil daar nazar ki shabnam

is qadar pyaar se hai jaan-e jahaan rakkhaa hai
dil ke rukhsaar pe
is vaqt teri yaad ne haath

yun guman hota hai
garche hai abhi subah-e-firaaq
dhal gaya hijr ka din
aa bhi gaye vasl ki raat...
..
 

No comments:

  © Blogger templates Artistic Edge 2009

Back to TOP