Abida Parveen

Tere gham ko jaan ki talash thi, tere  jan  nisar, chaley gaye
Teri rah me karte they sar talab, sar-e-reh guzar, chaley gaye

Ye hami they, jin ke libas par, sar- e -rah siyahi, likhi gai
Yehi dagh they, jo saja ke hum, sare bazm yar,  chaley gaye

na sawal-e-wasl, na arz-e-gham, na hikayaten, na shikayaten
tere ehad me ,  dil-e-zar ke,  sabhi akhtiyar,  chaley gaye

teri,  kaj adai se,  har ke , shab - e - intizar chali gai
mere zabt-e-hal se rooth ke , mere gham gusar,  chaley gaye

na raha junoon-e-rukh-e-wafa, ye na samjhe, kar karo gey kiya
jinhen,  jurm- e -ishq pe naz tha, wo gunah gar, chaley gaye


A very very Beautiful and Unique Ghazal

Song by:

Abida Parveen

No comments:

  © Blogger templates Artistic Edge 2009

Back to TOP