Aakhir kab tak . . . . !

Buhat baras pehle hum dost eik
park me jaya karte they,
lahore me wese bhi greenery hoti hai magar wahan kuch ziada hi darakht they. and
that trees have many many ghonslas (Homes) of
different birds.
Eik din hamara eik dost darakht par charha aur humen awazen dene laga
ye dekho yahan kitne piyare piyare churya ke bache hein . . .
hum sab dost us ki taraf mutawajja ho gaye . .
phir achanka pata nahi kiya hua wo chekhne laga jese
khud ko bachane ke liye cheekh raha ho
ghaur se dekha to pata chala ke
wo churya aur chura dono a gaye they
aur apne bachon ko bachane ke liye hamare dost ko
apni nanhi nanhi chochon se mar kar bhagane ki koshish kar rahe they
wo ye nahi dekh rahe they ke un ka dushman un se buhat ziada taqatwar hai
wo sirf apne bachon ko bachana chahte they
aur is ke liye un ko apni jano ki bhi fikar nahi thi
aakhir tang a kar hamara dost hi neeche a gaya . .
us ke face par hum ne dekha buhat sare nishan pare huay they
churion ne buhat bura mara tha us ko . . .
buhat duzar gaye aur hum bhool bhal gaye
phir eik din jahan hum Quran parhne jatey they
wahan par hamare eik dost ne maulvi sahab se hamare us dost ki shikayat kar di
jis ke sath ye waqaya hua tha,
Maulvi sahab ne buhat narazgi ka izhar kiya aur bari der tak hamen samjhate rahe
unhon ne bataya ke

"Islam me har insaan pe farz hai ke wo apne mal aur apni aulad ki hifazat kare aur un ki hifazat ke liye
dushmano ka muqabla kare, aur agar wo aisa nahi karta to wo gunah gar hai"

Aaj buhat arsa ho chuka hai is bat ko magar pata nahi kiyun mujhe khayal aata hai
ke waqt kitna badal chuka hai, aaj hum log us nanhi churya se bhi ziada buzdil ho chukey hein
jis ne apni jan pe khel kar apne bachon ko bachaya tha" . .

Aakhir kab tak aisa hi hota rahe ga ?
Dushman hamare gharon me ghuss kar hamare bachon ko, hamare Baron ko, hamare behan bhain ko marte rahen gey ?
Aakhir kab tak hum log chup chap ye sab eik tamashe ki tarah dekhte rahen gey ?

"Parhte hein maze se wo fasadon ki kahbren
Ghar apna jinhon ne kabhi jalte nahi dekha "

Kiya ye mulk hamara ghar nahi hai ?
Kiya is me rehne wale ye sab log hamare behan bhai nahi hein ?

Kitni mushkilon se insaan is zindagi ko palta hai, buhat struggles karta hai
magar ye insaniat ke dushman sab kush eik lamhe me tabah o barbad kar ke rakh dete hein,

Kiya in sab ko rokna, bura samajhna hamara farz nahi hai ?

Aakhir kab tak hum log behis bane rahen gey ?
Aakhir kab tak . . . . !

No comments:

  © Blogger templates Artistic Edge 2009

Back to TOP